Jab Gunaahon Me Jeeta Tha, Raahon Me Bhatka Tha
Tu Ne Mujhe Dekha
Mera Naam Lekar Tu Ne , Mujhlo Bulaaya Aur
Ehsaas Mujhko Diya
Ki mein paap ki raah me chalta raha aur
Naash ki aur badta raha par
Mujhko bachaane woh sooli chada aur
Swarg me aane ka mauka diya – 2
Mujhko bacha Liya, Yeshu Ka Lahu – 4
Tu hi marg hai, Tu hi satya hai
Tu hi Jeevan hai, Yeshu masih -2
Yeshu, Yeshu – 2
Aur koi nahi jo paapi ke liye apna jaan diya ho,
Har ek maar jo Yeshu ne khaaya,
Har ek boond lahu ka jo usne bahaaya,
Hai uspar bas mera naam, tumhaara naam,
Aur has uska naam jo uspar vishwaas karta hai,
Yeshu ka lahu hame saare paapon aur shraapon se mukt karta hai,
Vachan kehta hai ki khuda hi pyaar hai ,
Uska mohabbat bemisaal hai, Avarnaneeya hai uska pyaar,
Asmaan se bhi uncha, samundar se bhi gehra hai uska pyaar,
Tho aao aaj hum sab milkar us pyaar ko mahsoos kare,
Aur shukrguzaar banke dil se uska dhanyawad kare.
Mujhko bacha Liya, Yeshu Ka Lahu – 4
Tu hi marg hai, Tu hi satya hai
Tu hi Jeevan hai, Yeshu masih -2
Tera Lahu Pavitra, Parishuddha,paripoorna hai -2
Tera Lahu, Tera Lahu – 2