MERI PEHCHAAN – THE ANTHEM

MERI PEHCHAAN – THE ANTHEM

Meri Pehchaan

Verse 1:
Main woh nahi jo log mujhe kehte hain
Main woh nahi jo duniya mujhe kehti hain
Main woh nahi jo paristhitiyaan kehti hain main hoon
Main woh hoon jo Tu mujhe kehta hai
Yeshu…(Jesus)…

Chorus:
Main poonch nahi Sar hoon, gulam nahi Azaad hoon
Aakhir nahi Pehla hoon, main das nahi Beta hoon
Bhulaya hua nahi, par Chuna hua hoon main
Haara hua nahi, par Jaywant se badhkar hoon main

Meri pehchaan mere Khuda se hai

Verse 2:
Jab main kamzor hoon tab samarthi hoon
Andhere jagat ki roshni hoon
Tu jo samarth mujhe deta hai
Usme main sab kuch kar sakta hoon
Yeshu…(Jesus)…

Chorus:
Main poonch nahi Sar hoon, gulam nahi Azaad hoon
Aakhir nahi Pehla hoon, main das nahi Beta hoon
Bhulaya hua nahi, par Chuna hua hoon main
Haara hua nahi, par Jaywant se badhkar hoon main

woooo….

Main koun hoon? Mujhe duniya nahi bata sakti
Iske liye to mujhe uske kroos ki taraf dekhne ki zarurat hai
Kyunki jitno ne uski taraf dristi ki unke mukh par jyoti chamki
Aur unka muh kabhi kala na hone paya

Mera bahari roop, rang ya paristhitiyaan meri pehchaan nahi hai
Par meri pehchaan Yeshu Masih ne apne khoon se likhi hai
Aur ab woh khud kehta hai,
Ki tum EK CHUNA HUA VANSH, RAJPAD-DHARI,

YAJKON KA SAMAJ, PAVITRA LOG AUR PARMESHWAR KI NIJ PRAJA HO
Isliye ki jisne tumhe andhakaar me se apni adbhut jyoti me bulaya hai
Uske kaam pragat kar sako
To kaise main haar sakta hoon?
Kaise main jhukh sakta hoon?
Kaise main piche mud sakta hoon?


Main poonch nahi Sar hoon, gulam nahi Azaad hoon
Aakhir nahi Pehla hoon, main das nahi Beta hoon
Bhulaya hua nahi, par Chuna hua hoon main
Haara hua nahi, par Jaywant se badhkar hoon main

Leave a Comment

error: Download our App and copy the Lyrics ! Thanks